Tuesday, 8 November 2011

aana is tarah

aana kintu is tarah
ki abki pehchan me na aana


jaise tum nahi,tumhari jagah
ek dhundh, ak kuhasa
dubte suraj ki dhusar
roshni ko odhe hue


aana ki jab samay bahot  kam ho
aur anant pada ho pane ko
mujhe behadd jaldi ho kahi jane ki
aur ek ajnabee  rasta 

                                  ajeeb dasta....
betab ho mujhe le jane ko


us waqt aana ese lage ki
kisi ne dwar khatkhataya
koi na ho
par lage ki koi aaya
itna aatmiy
itna ashareer
jese hawa ka ek jhonka
aur
aur mujhme sama kar nikal jana
jese nikal gayi ek poori umar ..........

No comments:

Post a Comment