Sunday, 27 November 2011

shukriya zinadgi

Ek shararat se shuru hokar haqikat per aa thamti h ZINDAGI.
kabhi surur chadta he ishq ka is par
 kabhi chham se aa girati h ZINDAGI.
bhagti he ye bahot tez,phir bhi
waqt se aksar pichhe rah jati h ZINDAGI.
kabhi kashish,kabhi masti, kabhi aawargi h ZINDAGI.
aaj yaha to kal na jane kaha le jati h ZINDAGI.
 kabhi meethi he shakkar ki tarah to kabhi kadwi neem he
kabhi aam to kabhi khas h ZINDAGI.
 har rang dikhati h ,kabhi hasati to kabhi rulati h ZINDAGI.
Jee jao ise zinda-dili se, karo mohabat sabhi se,
 bhula daalo sabhi gile shikwe, lago gale tum sabhi se
kyuki kehte he 84 lakh janmo bad mil pati h ye ZINDAGI.!

wah kya vichar he ise maan kar me bhi jeene ki koshish kar rahi hu,
21 nov ke din k bad mene apne bare me sochna shuru kar diya he
ab apne par dhyan dekar khud ko khush rakhna chahti hu taki
ladne ki taqat double ho sake, par.......... ab bhi mere attitude se
problem ho rahe he . matlab hum kuch bhi kare duniya chahti he hum
unke hisab se chale, wo chahe to hanse wo chahe to roye............
nahi ab nahi , please bhagwan mera sath do me sahi raste par chal
 ZINDAGI ko shukriya kah sakoo............

                                                                        ajeeb dasta....

Monday, 21 November 2011

kya khoya kya paya

kya khoya kya paya jag me
milte aur bichadte nabh me
nahi shikayat mujhe kisise
yadypee chhala gaya pag pag pe................

jeevan me itni badi haar ki kalpna bhi mene nahi ki thi
jaha mere hatho se sab kuch chhut raha he
jiske liye itna kuch kiya wahi is layak nahi nikala
apna sab dekar bhi haar meri hi hui
khud ki bhawnao ko bhul kar sab ke liye sab kiya
par aaj jab duniya k samne apna kahne ,ki baat aayi to
mujhe hi nakaar diya , is tarah kar rahe he ki jese mujhse koi
rishta hi nahi he
apni khushiyo me shamil karna bhi thik nahi samjha
un logo ne jinke liye mene apne apna sukh chain tyaga tha
esi hi he kya sari duniya
ya mere liye ese hi log likhe he
jabran bina bulaye bhi mene jane  ki koshish ki
par koi nahi smjha...............
shayad mere faislo ki na waha koi kdar he na yaha to
fir kyu me faisle lene k liye apne dimg par zor dalti hu........

plz bhagwan shakti do taki sb bhul kar jee sakoo........

                                                   ajeeb dasta....

Tuesday, 15 November 2011

vishwas ka arth


vishwas  ka naam hi suna tha abki baar dekha he, serial me hi
sahi..... par pati patni k rishte me kya hona chahiye jo insan ko bina
dori bandh kar rakhta he,kal ka BADE ACHCHE LAGTE HE ka episod dekha
pahle shayad samjh na aata par aaj ki situation me mujhse behtar is baat
ko shayad hi koi samjh paya hoga. me to MR.KAPOOR ki soch par fida ho
 gayi aur maanti bhi hu ki ese insan sach me bhi hote he par..............
isse pahle esa hi kuch mene DHADKAN movie me dekha tha par tab ye
sab philosophical jyada laga tha par aaj jab halaat badal gaye to sab
samjh me aata he.
kash..................
kash.................
kash.................
kya main esi hu?kya main esa vishwas kar paugi?????????

                                                                           ajeeb dasta....

Friday, 11 November 2011

badlaw ka sukoon

mujhe kuch khushnuma din ki chahat he .....
e mere malik mujhe kuch sukoon baksh de...

naya profile ,naye taur tarike
aaj kal mujhe naya mahole jeene ka awasar mil raha he
mene aaj tak jo kaam kiya he usse bilkul alag
maza aa raha he , wo official sa atemosphere he jise me
humesha dur se mehsoos karti thi ab usme me bhi hu
me sab ki sunti hu............
aur sun sun ke is natije par pahochi hu ki insan kahi bhi
satisfy nahi hota koi profile se pareshan he to koi seniors
ke interfer se to koi director ki dictetorship se hi khafa he
me poora din busy rahti hu
par raat ko aakar bhi achcha sa feel karti hu lagta he kuch
naya sikh k aayi hu, kuch usefull kiya he
pata nahi college ja kar wo feeling nahi aa rahi thi..............
chota sa badlaw he par me khush hu............

                                                                      ajeeb dasta....

Thursday, 10 November 2011

mujhe tumse mohabbat thi


tum aaine ki araaish me jab khoi hui si thi
khuli aankho ki gehri nind me soi hui si thi
tumhe jab apni chahat thi ,
mujhe tum se mohabbat thi......

tumhare naam ki khushboo se jab mausam savarte the
farishte jab tumhare raat din lekar utarte the
pane ki hasrat thi ,
 mujhe tum se mohabbat thi........

tumhare khwab jab aakash ke taaro me roshan the
gulabi anhkdiyo me dhoop thiaanchal me sawan the
bahoto se rakawat thi ,
mujhe tum se mohabbat thi......

tumhara khat mila, mein hu yaad tumse inayat he
badlte waqt ki lekin har ek dil par huqumat he
wo pahle ki haqiqat thi
mujhe tumse mohabbat thi....
mujhe tumse mohabbat thi....

                                                                 ajeeb dasta....

Wednesday, 9 November 2011

yaad me

                         aaj har lamha udas he
                             har sans bhari he
                  tumhare jane ke baad har ghadi
              tumhari yaad me tumhare sath guzari he


                                                                                ajeeb dasta...

Tuesday, 8 November 2011

aana is tarah

aana kintu is tarah
ki abki pehchan me na aana


jaise tum nahi,tumhari jagah
ek dhundh, ak kuhasa
dubte suraj ki dhusar
roshni ko odhe hue


aana ki jab samay bahot  kam ho
aur anant pada ho pane ko
mujhe behadd jaldi ho kahi jane ki
aur ek ajnabee  rasta 

                                  ajeeb dasta....
betab ho mujhe le jane ko


us waqt aana ese lage ki
kisi ne dwar khatkhataya
koi na ho
par lage ki koi aaya
itna aatmiy
itna ashareer
jese hawa ka ek jhonka
aur
aur mujhme sama kar nikal jana
jese nikal gayi ek poori umar ..........

Monday, 7 November 2011

ek nai shuruwat

shab ke andhero ko khangalo to koi baat bane
ek naya khurshid nikalo to koi baat bane.....
waqt ke saanche me dhalna to sabko aata he
waqt ko saanche me dhalo to koi baat bane.....

socha he ek nai shuruwat karoo, kuch naya aur jyada behtar,
jo sab chal raha he usme puzzled hu insecure bhi hu,ek hi
dharre se pareshan hu....shayad is naye badlaw se zindagi me
badlaw aaye kuch sthayitav bhi aaye.shayad bhagwan ka yahi
signal ho....
yu bhi maine ab sab kuch bhagwan pe chhod diya he
unhone hi situation kharab ki he wahi thik bhi karega
kuch achche ki ummid me.....................

                                               ajeeb dasta....

Saturday, 5 November 2011

pyaar ki dasta nahi likhti

main kavi nahi isliye kavita nahi likhati
likhti hu haqiqat par sapna nahi likhti
meri kalam ruk jati he mere hi aansuo par
isliye mohabbat nahi likhti.......
dil sachcha he isliye dildar nahi likhti
chhoot na jaye koi kirdar 
isliye kahani nahi likhti......
toota tha aashiyana mer bhi kabhi
isliye ab mitti ke gharonde nahi likhti
mere dil me armaan ab bhi bahot he par
ab mein pyaar ki dasta nahi likhti......

                                       ajeeb dasta....

Friday, 4 November 2011

kuch tum rakhlo

Aao baant le saare dard-o-sitam
kuch tum rakh lo kuch hum rakh le
ab ponchh le apne ashq sanam
kuch tum rakh lo kuch hum rakh le....

hum sath rahe aur sath chale
hum sath jeeye aur sath mare
iss raah-e-wafa pe apne kadam
kuch tum rakh lo kuch hum rakh le....

manna ke dukho se tum ho bhare
par hum bhi khali hath nahi
ye zulm-o-sitam tumhe meri kasam
kuch tum rakhlo kuch hum rakh le....

bedard zamaane wale
jo kuch kahte he so kahne do
bechain tamannao ka bharam
kuch tum rakhlo kuch hum rakh le.....



                                        ajeeb dasta....

Thursday, 3 November 2011

faislo ki dhundh

kabhi kabhi faisle lena kitna mushkil ho jata he?????????
shayad hum sab ko khush karna chahte he ya darte he ki
hamara decision galat na ho jaye...par kabhi kabhi hamare
faislo me hamare sath koi bhi nahi hota he, esi stithi hume
darati he ki kahi faisl lene ki mjbooti hume sab se door na
kar de.................
me isi daur se guzar rahi hu jab faisla lena samay ki jarurat
he, par faisla lete samay bhi koi mere sath nhi he aur lene
k baad  bhi nahi hoga,,,,,bychance yadi result galat raha to
zindagi bhar k liye zubaan band ho jayegi
is samay kis par bharosa karu kiski manu sab samjh se
bahar he........hey ishwar sari mushkile aapne khadi ki
he please aap hi koi rasta dikhao, me usipe chal padugi
kisi ka to sath mile ,zindagi akele nahi kaat paugi.
plz bhagwan koi rasta dikhao.................aur is
mushkil se bahar nikalo.............
                                            ajeeb dasta....

Wednesday, 2 November 2011

khamoshi

alfaz to bahot hai meri mohabbat bayan karne ke liye.....
jaan-e-wafa
par tum meri khamoshi nahi samjhe
mere alfaaj kya samjhoge

ha mera yahi manna he jo khamoshi nahi samjh sakta
wo juban ki bhasha kya samjhega, us par apne shabd
kharch karna bhi bewkoofi hi he.un sabke bawjood rishto
ko banaye rakhne ke liye maine apne jeevan me in baato k 
virudh jakar apni juban kholi he.........
par is experiment ka nateeja bhi sahi nahi nikala
tab laga ki kya mene jo kiya wo galat kiya?????????????

                                          ajeeb dasta....

Tuesday, 1 November 2011

kirdaro i zindagi

kisi ki zindagi me na to koi apni marzi se aata he aur na jata he
zindagi he rangmanch, jis har koi bas apna kirdar nibhat jata he
director he adrishay iska, jo sabko apne ishaaro par nachata he
aur is rangmanch me kis kirdaar ka hain kitna jeevan aur mahtav
ye to waqt hi batata he

kitni sachchai he is baat me, in sab k bawjood hum samay k bajay insan
ko kyu dosh dete he,jabki jante he insn sirf kathputali he....
par fir bhi chahte he ki sahi k sath sahi hi ho .............

                                                                 ajeeb dasta....