Tum jeeyo hazaro saal
saal ke din ho pachas hazar
aaj meri sabse pyari sakhi ka janmdin he,afsos ki aaj wo bahot dur
he mujhse lagbhag 1200 km dur, hum b-mushkilan saal me ek baar
mil pate he kyuki dono ki family he ,responsibiliy he, liabilities he....
par in sabme hamari dosti seemao me bandh kar rah gayi he. kaha
hum pure pure din masti karte the ,ghumte the, na koi poochta tha
na hume kisi ki chinta hoti thi aaj to sapna bhi nahi dekh pate he
ek samay tha jab hamare liye sirf sochna kafi hota tha.b'day ,valentines
day, friendship day,khub masti se manaate the. har b'day par subah
subah ghar pahochna with rose flowers fir ghar ka bana nashta karna
kuch baate karna ye sab decently because ghar par sab ke bich bethte
the.gharwale hume ek dusre k naam se chidate tak the,uske baad
hamara din ka safar shuru hota tha uthai car ki chabi aur baki friends
ko collect kiya ya pahle hi ghar par ho chuka hota tha,fir mandir jana,
restaurant jana,ataram shataram khana,movie dekhna ya kanak
vrindavan jakar chhup chhup k bethe couples ko dekh kar gane
gana ,guppe marna,future career planning karna,ho hulla karna us
samay na koi dikhta tha na sunta tha,ice cream jarur khana ,kabhi
kabhi kisi bhi road par bina kisi manzil k chalte jana,finally sham
hone lagti to ghar ki yaad aati kyu ki b'day k din dant se bachna
hota tha..............to na chahte hue bhi fir aage milne ka plan bana
kar ghar ki taraf ka rukh karte the.saari friends ko bye then pariwairk
treat. ghar aate hi wapas ready hona aur family dinner par jana .
ek bar to hum NET ki coaching me padhte the tab mera b'day
aaya to i got a big red rose bunch .puri class ko pata chala n 100
of students sab during the class mujhe wish karne lage n sir
pareshan ho kar bole me tumhe poori class ki taraf se wish karta
hu taki mein class le saku, then all laugh..........
kya mast din aata tha na ...........kab aayega waisa b'day hamara
ye he meri pyari dost jo humesha mujhe special feel karwati he
happy b'day dear n love u dear............
ajeeb Dasta.................
No comments:
Post a Comment