Monday, 31 October 2011

vichar

rahiman dhaga prem ka , mat todo chatkay
tute se fir na jude , jude ganth pad jaye



esi bani boliye, mann ka aapa khoy
auran ko seetal kare, aaphu seetal hoy



jesa ann jal khayie, tesa hi mann hoy
jesa pani pijiye,tesi bani soy



rahiman jihwa bawari, kahige sarag paatal
aapu to kahi bhitar rahi, juti khat kapal



bura jo dekhn mein chla, bura na miliya koy
jo mann khoja aapna , mujhse bura na koy



bigari baat bane  nahi, lakh karo inkoy
rahimn bigare doodh to mathe n makhan hoy

ye kuch pyare dohe he jinhe padh kar hum bade hue he par
inka matlab aaj bhi nahi samjh paye he. agar samjh kar apne
jeevan me utar le to humse sukhi koi nahi ho sakta..........


                               ajeeb dasta.....



Saturday, 29 October 2011

tum jesi he

subah ki dhoop, ghuli sham ka roop
pakhtao ki tarah soch me doobe talaab,
 ajnabi shaher k aakash, andhero ki kitab, 
pathshala me chahkate hue masoom gulab
ghar k aangan ki mehak,
behte paani ki khanak
saat rango ki dhanak
tumko dekha to nahi he lekin
 meri tanhai me ye rang birange manzar
jo bhi tasveer banate he wo tum jeisi he............

                                          ajeeb dasta.......

Friday, 28 October 2011

tumhara mera rishta


suno tum , ye mera tumhara jo rishta he, ek rasta he...........

 mein tumse gujar kar hi tum tak pahochne ki raftaar hu,

mera aagaz tum, mera anjam tum,

tumhe dekh kar  mein tumhe  sochti hu

tumhe paakar hi mein tumhe khojti hu

tum apne  badan k samndar me sadiyo se poshida ek khwab ho

aur me khoon ki tez gardish me banti hui  aankh hu

aank aur khwab k darmiya raste, khidkiya, nind , bedaariya

jism se jism tak har milan ek safar

 har safar khwab ki aarjoo, jism ki justzoo

suno tum ye mera tumhara jo rishta he, ek rasta he..........

                                                           ajeeb dasta....

Wednesday, 26 October 2011

happy deepawali

diwali ki dhero shubhkamnye
aaj ki amvasya ki rat ko deeyo ki roshni ne poonam ki raat me
badal diya he , zor zor ke dhamake, har taraf hanste khilkhilate
chehre............kabhi rocket ki awaz aati he to kabhi bamo k
dhamake kabhi anar ya aatishbazi ke sitare, khub sari patakho
ki chamak damak he aaj ki raat
mobile par msg 's ki bharmar he, calls pe calls aa rahe he
par............
par mera mann kharab he, na kisi ko msg kiya he na
kisi ko call kiya he. actually dil hi nahi kiya he kisi se baat
karne ka
ha ek unexpected msg jarur aaya he mere phone par
but i m not repliying that
kya dooriya he o kabhi nazdikiya thi......................
ajeeb dasta ki ajeeb zindgi..............

                                             ajeeb dast.....

Tuesday, 25 October 2011

dedicated

tumhari kabra par main faatiha padhne nahi aaya,
mujhe maloom the tum mar nahi sakte
tumhari maut ki sachchi khabar jisne udai thi,
wo jhutha tha..............       wo tum kab the?
koi sukha hua patta hawa me gir ke tuta tha,
kahin kuch bhi nahi badla ,
tumhare hath meri anguliyo me saans lete he 
main likhne ke liye jab bhi kagaz kalam uthata hu
tumhe betha hua main apni kursi par pata hu
badan me mere jitna bhi lahu he
wo tumhari lagzishon ki naakamiyo ke sath batha he
meri awaz me chhupkar tumhara zahan rahta he
meri bimariyo me tum, meri laachariyo me tum
tumhari kabra par jisne tumhara naam likha he
wo jutha he...........
tumhari kabra me min dafan hu, tum mujh me zinda ho .....
kabhi fursat mile to faatiha padhne chale aana......

ye he the great NIDA FAZALI k vichar apne pita ki maut
par.... jinke pita unme sada zinda rahe.........
                                            ajeeb dasta...

Monday, 24 October 2011

intezar

aksar mein apni raat yun barbaad karti hu ..... beth k kisi kone me usko yaad karti hu .....  uske wapis aane ki ummid to chhor di kab ki ..... phir bhi dehleez pe apna waqt barbaad karti hu ... jab akelepan ka ehsaas ho aur koi na uske pass ho.... kash wo laut k aa jaye........main ab bhi uska intezar karti hu ..... wo uska pyar tha, ya thi bewafai uski.......par main ab bhi use betahasha pyar karti hu                                                                   ajeeb dasta....

Saturday, 22 October 2011

festive ki khushi


festival ka season, usme bhi diwali ka time
yani khushiyo k rango ka season, umango ka season
safaiyo aur dusting ka season.........par kya ye khushiya
sachchi hoti he,kya chehre par dikhti muskurahat asli
khushi ka izhar he
na jane kyu mujhe lagta he ki aaj kal ke festive season
sirf dikhawa hi rah gaye,sab kuch ye soch kar kiya jata
he ki bas karna hi he,lok dikhawe ke liye .yani diwali
he aur sab manate he ,shopping karte he ,kush n exciting
dikhte he to hume bhi karna chahiye
kaha kho diya he humne asli utsav ka maza
kyu hum machino ki tarah festive duty nibha rahe
he,kyu esa nahi ho sakta ki mann ho to manaye
na mann ho to na manaye par apne liye hum jeena
shuru kare ,apne liye holi diwali manaye.......

                                                   ajeeb dasta....

Friday, 21 October 2011

zindagi k kyu?

mere pas bahot saare kyu he
jinke jawab nahi milte he
kyu koi apne se hume dukh milte he
kya achcha he isme ki jo hamara he ussi par se
hamara vishwas uth jaye, kyu koi apna bichad jata he
kyu koi rishta itna kamjor ho jaye ki tutne k kagar
par pahoch jaye .......... kya he inke pichhe  ki achchai
in sab k bad to bhagwan hume galat hi nazar aata he
kese milege in sab sawalo k jawab.............

zindagi adhuri nahi rah jayegi kya in bina jawabo k
sawalo k karan

mujhe bharosa he ki mujhe ye jawab jarur milege
meri zindagi complete hogi in jawabo k bad.........
he na AJEEB DASTA ZINDAGI

                                                   ajeeb dasta.....

Thursday, 20 October 2011

khwab churane aa jao

Sadiyon se jaagi aankhon ko,
Ek baar sulaane aa jaao.
Mana ki tumko pyar nahi,
Nafrat hi jataane aa jaao.

Jis morr pe mujhko chor gaye,
Main baitha abtak soch raha,
Kya bhool huyee kyon juda huye?
Bas ye samjhaane aa jaao.

Har lamha teri furqat me,
Main tarap raha main taras raha,
Meri maano tum is dil ko,
Kuch pal behlaane aa jaao.

Qatra qatra shabnam se pyaas,
Bujhhti nahi barh jaati hai,
Tum apni ek jhalak dekar,
Ab meri pyaas badaa jaao.

Shayad ye jeena aasaan ho,
Gar dil me koii armaan na ho.
Meri badhti har hasrat ko,
Haathon se jalaane aa jaao.

Mujhpar laakh sitam dhaao,
Ya dard ke pehloo me rakho,
Isse pehle aankhein moondoon,
Mere Khwab churane aa jaao.

Wednesday, 19 October 2011


meri aankho me aansu , 
phir bhi hothon pe muskan kyu he
kyu dohri zindagi jeete he hum,
aakhir har koi pareshan kyu he
gulshanar  he agar safar zindagi ka
to phir iski manzil shamshan kyu he
jab judai he pyar ka matlab to phir
 pyar karne wala hairan kyu he 
achanak karam karna hi zindagi he
 to burai ka rasta itna aasan kyu he
agar jeena hi he marne ke liye to phir
 zindagi ek vardaan kyu he
jo kabhi na milega usse hi lag jata he dil,
 aakhir dil itna naadan kyu he

sab mohabbat karte he ,jisne nahi ki wo ise jeena chahta her
phir bhi  is par anguli kyu uthate he,kyu har baar ise doshi
thehrate he.jabki ye manna chahiye ki kiya dhara sab hamara
khud ka hota he. agar anubhav bura he yani aapne apna kimati
pyar galat insan par luta diya he,ya fir samay khaarb he ,
jald hi sahi samay aayega aur aapka pyar bhi sahi siddh ho jayega
ek baat to sahi he kabhi bhi kuch de kar pyar ya rishto me kuch bhi
 wapas mangne ki ummid nahi karni chahiye ,kabhi utna nahi milta
 jitni aapki ummid hoti he.  so 4 ur happiness never desire ............
koshish karo ye sab sach ho .....................

                                                                       ajeeb Dasta....

Tuesday, 18 October 2011

meri sakhi


                               Tum jeeyo hazaro saal
                             saal ke din ho pachas hazar
aaj meri sabse pyari sakhi  ka janmdin he,afsos ki aaj wo bahot dur
he mujhse lagbhag 1200 km dur, hum b-mushkilan saal me ek baar
 mil pate he kyuki dono ki family he ,responsibiliy  he, liabilities he....
par in sabme hamari dosti seemao me bandh kar rah gayi he. kaha
 hum pure pure din masti karte the ,ghumte the, na koi poochta tha
na hume kisi ki chinta hoti thi aaj to sapna bhi nahi dekh pate he
ek samay tha jab hamare liye sirf sochna kafi hota tha.b'day ,valentines
day, friendship day,khub masti se manaate the. har b'day par subah
 subah ghar pahochna with rose flowers fir ghar ka bana nashta karna
 kuch baate karna ye sab decently because ghar par sab ke bich bethte
 the.gharwale hume ek dusre k naam se chidate tak the,uske baad
hamara din ka safar shuru hota tha uthai car ki chabi aur baki friends
 ko collect kiya ya pahle hi ghar par ho chuka hota tha,fir mandir jana,
restaurant jana,ataram shataram khana,movie dekhna ya kanak
 vrindavan jakar  chhup chhup k bethe couples ko dekh kar gane
 gana ,guppe marna,future career planning karna,ho hulla karna us
 samay na koi dikhta tha na sunta tha,ice cream jarur khana ,kabhi
 kabhi kisi bhi road par bina kisi manzil k chalte jana,finally sham
hone lagti to ghar ki yaad aati kyu ki b'day k din dant se bachna
hota tha..............to na chahte hue bhi fir aage milne ka plan  bana
 kar ghar ki taraf ka rukh karte the.saari friends ko bye then pariwairk
treat. ghar aate hi wapas ready hona aur family dinner par jana .
ek bar to hum NET ki coaching me padhte the tab mera b'day
aaya to i got a big red rose bunch .puri class ko pata chala n 100
 of students sab during the class mujhe wish karne lage n sir
pareshan ho kar bole me tumhe poori class ki taraf se wish karta
 hu taki mein class le saku, then all laugh..........
kya mast din aata tha na ...........kab aayega waisa b'day hamara
ye he meri pyari dost jo humesha mujhe special feel karwati he
happy b'day dear n love u dear............

                                             ajeeb Dasta.................

Monday, 17 October 2011

ladki ki chah


Ladki muskurana to chahti he
                                            lekin muskurati nahi
wo galatfehmiyo ke liye 
                                         koi gunjaish nahi chhodna chahti
ladki dekhna to chahti he
                                        lekin nigahe nahi uthati
wo kisi ko bhi mugalte
                                        me nahi rakhna chahti
ladki kuch kahna to chahti he
                                       lekin kahte waqt honth sil jate he
wo itni sugmata se sankoch 
                                        ka vrit nahi todna chahti
ladki ehsaas to karti he 
                                        lekin prem nahi karti 
wo bhavukta ki zameen par
                                        nadaan sapne nahi bona chahti 

kyu ladkiya esi hoti he,kyu wo sirf dusro k bare me jyada sochti he
kya ladke bhi ese hi hote he, kya wo bhi khud se jyada dusro k bare me sochte
he............agar esa he to bhi dono me itna bhedbhav kyu he..............

                                                                          ajeeb dasta.....

Sunday, 16 October 2011

ishwar hi ishwar


Teri is duniya me ye manjar kyu he?

kahi zakhm to kahi peeth me khanzar kyu he

suna he ki tu har zarre me rahta he

to fir zameen pe kahi maszid kahi mandir kyu he

jab rahne wale is duniya ke he ter hi bande

to fir koi kisi ka dost aur koi dushman kyu he

jab nahi nakaar sakti he duniya tere is wajood ko

tere hone se fir kahi paki fasal aue kahi banzar jameen kyu he

kahte he ki tu banata he logo ke mukaddar

to fir koi BADNASEEB aur koi mukaddar ka SIKANDER kyu he............

kitna sahi kaha he kahne wale ne sab jaante he par ishwar ke astitav ko nakar nahi
sakte sirf isliye ki wo apne wajood ko dikhata nahi sirf mehsoos karwata he. saare
tarko ke bavjood ishwar hamara sarve sarva he,vidhata he,wahi hume chalata he
hume banata he aur bigadta bhi he.SWAMI DAYANAND SARSWATI ka kahna tha ki

"Ishwar sachchidanand swaroop, nirakar, sarvashaktiman, nyaykari,dayalu,ajnma,
annat, nirvikar, anadi, anupam, sarwadhar, sarveshwar, sarwvyapak, sarwantaryami,
 ajar,amar , amar, nitay, pavitr aur sristhikarta he"


kitna sahi shabdo me ishwar ko paribhashit kiya gaya he par kyu iswar  hume esi esi
parikshao me dalta he kyu hume badi kathin stithiyo k samne khada karta he,kese
 pooche ye us nirakar shikhar se, kaun dega hume ye jawab.................

                                                                                                    ajeeb dasta....

Saturday, 15 October 2011

aankho ki khoobsurati

beauty lies in the eyes of beholder ---khoobsurati dekhne wale ki aankho me hoti he isliye sansaar ki har vastu sunder he.vastav me srijan me sunderta hoti he.khubsurati chehre par nahi hoti ye to dil ki roshni he jise bahot dhyan se dekha ya mehsoos kiya jata he.vinchi ki nazar se  monalisa khubsuarati thi to mere liye mirja galib khubsurat he jinki shayari dil tak pahoochati he,jagjeet sing khubsurat he jinki gazal gayaki rooh tak jati he,kishore kumar khoobsurat he jinki  awaz hamare saare gum bhula deti he, mother teresa khubsoorat he jinhone poori zindagi dusaro ki seva me laga di, unka jhuriyo se bhara chehra bhi miss world ya miss universe se sunder lagta he,mahatma gandhi  aur anna hazare bhi khubsurat lagte he jo dusro k liye jeete he.....nate kad ka charli chapline khoobsurat he jo duniya bhar ko hansata he. chepline ne ek baar kaha tha "mein barasaat me bhigte hue rota hu taaki koi mere aansu na dekh sake." jo ye baat kah sakta he wo aadami kitna akela hoga,kitna achcha insaan hoga jo apne dukh se kisi ko dukhi nahi karna chahta . ye sachchi aur pavitr khoobsurati he, jo sadiyo tak zehan me rahti he.
            vastav me khushnuma insan wo he jiska dil pyar se bhara hota he.dil khush to saara jaha khushnuma , hansta hua nazar aata he .asal sunderta bahar nahi balki hamare bhitar he , mann me he,sadagi me he , muskurahat me he,nishkapat aur nirmal bachche me he, isliye bachcho ka sondarya apreetam hota he. we sada khoobsurat lagte he, sote ,khelte ,nachate ,gaate, shaitani karte bhi.kaash hum bhi bachche hi hote..........


jeevan ke din chote sahi hum bhi bade dilwale
kal ki hume fursat kaha,soche to hum matwale

                                                                                   ajeeb dasta....

Friday, 14 October 2011

chahat ki pyaas

Taa umar kyu talaash-e-rahbar me bita di
is raah me pyasi rahin zindagaaniya bahut......

akhtiyar juban pe zehan ne kar liya
karne laga dil naadaniya bahot.....

maqbooliyat mujhko usi ne di thi
ik naam ki mujh pe thi meharbaaniya bahot......

kissa mera bhi kal me fanna hua
dafan he itihaas me kahaniya bahot......

safal kahlaane ka tumne jo raj sikh liya
karne lage ho aaj kal beimaaniya bahot.....

neend aur chain to kab ka ganva chuke he
baaki he ishq me qurbaaniya bahot.....

aaj mann me khyal aaya kyu hum kisi insan k ya kisi cheez k ya kisi chah k pich bhagte he,jab tak bhagte he tab tak wo bhagate hi rahte he par jis apne aap ko jhuka kar haar bethte he tab ummid tutne k baad wahi hume mil jata he par..................
par kya esa har baar hota he ?????????????????kya ye sahi he ki hum isi vichar k sath beth jaye to hum jo chahte wo hume mil jayega....
bahot asmanjas ki situation he karna na karna kuch bhi samjh se bahar he

                                                                                                   ajeeb dasta...

Thursday, 13 October 2011

zindagi ke maayne..........

maine kal ek jhalak zindagi ko dekha,

wo meri raah me gunguna rhi thi

maine dhundha use idhar udhar

wo aankh micholi kar muskura rahi thi

ek arse ke baad aaya mujhe karaar

wo thapki dekar mujhe sula rhi thi

hum dono kyun khafa hai ek dusre se....

main use aur wo mujhe bata rahi thi

maine poocha tune mujhe itne dard kyu diye..............

usne kaha main ZINDAGI hu tujhe jeena sikha rahi thi


ye he zindagi jiska matlab bahot late samjh aaya he,jitna pyar se ise jee sakte ho jee lo kb ye ret ki tarah hath se chhoot jayegi pata bhi nahi chalega
jeelo zindgi khilkhila ke...........
                                                                                     ajeeb dasta.....