Monday, 5 December 2011

khwab bunte gaye

Har khawab ko hum bunte gaye,
Bunte-bunte falak main pauch gaye,
Toote jo khawab mere,
Tho iss kadar zami main aa gire,
Ki fir uthne ka hoosh kho gaye.

Aakhirkaar jab hosh aaya hume,
Tho khawab ko bhula, sapne dekhne lage,
Bin par k aasmaan main udne lage,
Itna dur hogaye,
Ki jab sapne toote,
Tho dharti par na pauch sake.

Firte rahe hum abbr main,
Dhundte rahe hum sath apno k,
Koi nahi hai sath mera,
Kisse kaheta tamanna apne dil ka,
Subha hote he ye chand,taare chhod chale jaate,
Tho raat main suraj kirne dena bhul jaate.

Har sapne mere toot gaye,
Khawab ko bhula diye,
Aisa gire ki fir utth na sake,
Ho gaye the apahizz, fir chal na sake,
Jab sapne mere toote, har khawab bhul gaye…………..!


                                                               ajeeb dasta.....